kuch khali khali tha,
maan ka kona,
baatein band thee
ek sandook mein,
fir jane kaise chala ye jadoo
khul gaya sandook,
gayee saree batein bikhar,
Jo mein keh na payee thee
khud se
jo tum keh na paye the khud se
Vo sari batein jane kaise?
jane kaise keh gaye hum sab?
Bharosa tha voh tum par,
ya thee akhon mein koi sachayee,
ya dil ka nasoor itna bada ho gaya,
ki sambhale na sambhla,
aur bas beh chale hum sab...
dard shayad kuch kam bhee hua,
dil thoda nam bhee hua,
par haan ab mehsus hota hai kuch khulapan,
nahi uthti hai vo tise man mein,
Ud chali hain voh baatien khuli kidki se,
Aur mein ab ajad hoon unse...
Bharosa tha voh tum par,
ya thee akhon mein koi sachayee....
Monday, November 9, 2009
Wednesday, September 16, 2009
Savit
Tu prakash, tu hi vishwas,
Tej tera bhal pe, hai lalima lalat pe
Tu hai kada akhand sa
kiran kiran nikhar rahi,
lalima bikhar rahi,
tu sakti de to pran de,
tu he jiwan dan de,
Prabal atal akhand hai,
tu koti koti chandr hai,
agni tere krodh ki,
ya tap tere prem ka,
tu asadhy hai, tu hi mera aradhy hai
dashon dishaying dolti,
Jo agni teri bolti,
chmak uthi hain chotiyan,
tere hi is prkash se,
rakt ban ke beh raha,
har saans mein tu reh raha
Unnat rahe, atal rhe,
tej ye prabal rahe...
chamak rhi dhra harit,
tere pratap se savit
Tej tera bhal pe, hai lalima lalat pe
Tu hai kada akhand sa
kiran kiran nikhar rahi,
lalima bikhar rahi,
tu sakti de to pran de,
tu he jiwan dan de,
Prabal atal akhand hai,
tu koti koti chandr hai,
agni tere krodh ki,
ya tap tere prem ka,
tu asadhy hai, tu hi mera aradhy hai
dashon dishaying dolti,
Jo agni teri bolti,
chmak uthi hain chotiyan,
tere hi is prkash se,
rakt ban ke beh raha,
har saans mein tu reh raha
Unnat rahe, atal rhe,
tej ye prabal rahe...
chamak rhi dhra harit,
tere pratap se savit
baatein
Baaton ke sahar mein gujri hai ek shaam,
Sunti hai kabhi, kabhi leti mera naam,
Kuch aise hain alfaaz ki, hum kho gaye,
Nikle the kis raah pe aur kahin ke ho gaye.
Mere jehen mein ubhri hui ek yaad jase ho,
baton mein ek bhoola sa andaz jase ho,
koi baat chalte chalte kamosh ho gayee,
Voh ja ke us kissey ke pahloo mein kho gaye.
Fir se vho ek umre humne gujar di,
Un kisson ne is safar ki tasweer ubhar di,
Har ek pal ko jaise jinda kar diya,
Jo mit chuki thi us hasrat ko hara kar diya,
Adat nhi hai yuon sunte rahein tuzhe,
Par teri har baat ne kuch nasha sa kar diya,
Le bhul kar sab kuch teri dagr pe chal pade,
Teri baton tere kisson, ka hissa ho chale
Sunti hai kabhi, kabhi leti mera naam,
Kuch aise hain alfaaz ki, hum kho gaye,
Nikle the kis raah pe aur kahin ke ho gaye.
Mere jehen mein ubhri hui ek yaad jase ho,
baton mein ek bhoola sa andaz jase ho,
koi baat chalte chalte kamosh ho gayee,
Voh ja ke us kissey ke pahloo mein kho gaye.
Fir se vho ek umre humne gujar di,
Un kisson ne is safar ki tasweer ubhar di,
Har ek pal ko jaise jinda kar diya,
Jo mit chuki thi us hasrat ko hara kar diya,
Adat nhi hai yuon sunte rahein tuzhe,
Par teri har baat ne kuch nasha sa kar diya,
Le bhul kar sab kuch teri dagr pe chal pade,
Teri baton tere kisson, ka hissa ho chale
Saath bachpan ka
bandhan hai ye tera mera,
bandha na jise meine tune bandha
par juda hua hai bachpan se
tu smajhe har ek baat meri,
jane har ek ehasaas mera.
Thee bachpan ki voh takrar,
apne khilone dene se inkar,
par usme bhe kahi chupa that ye pyaar,
Ho anjan dagar,
ya sunsan safar,
mahfus hoon jo tera ehsaas hai,
Haan jude haun hum is rishte mein,
Is se na aur kuch khas hai,
Tahufe diye tune kitne,
par sbase pyara tahufa ki,
har pal tu mere saath hai
bandha na jise meine tune bandha
par juda hua hai bachpan se
tu smajhe har ek baat meri,
jane har ek ehasaas mera.
Thee bachpan ki voh takrar,
apne khilone dene se inkar,
par usme bhe kahi chupa that ye pyaar,
Ho anjan dagar,
ya sunsan safar,
mahfus hoon jo tera ehsaas hai,
Haan jude haun hum is rishte mein,
Is se na aur kuch khas hai,
Tahufe diye tune kitne,
par sbase pyara tahufa ki,
har pal tu mere saath hai
Raat ki Kahani
Kuch baat kabhi hoti hai yuon,
Koi raat akele se tanha,
Baithee thee sagar ke paas,
Bas tabhee hui halchal koi,
Bas tabhee jaaga who ehsaas.
Alhad se haseein hooton par thee,
Meethi se mehek sanson mein thee,
Kuch hua us pal mein tha,
Usne chua us pal mein tha,
Pyara sa voh lamha,
bas thehar us pal mein gaya,
Kuch kehne ka voh pal na raha,
Bas khamosh se sason ki aahat
hi karti thee haal byan,
Sab bhool gayee aage pechee,
Uske siwa koi pal na raha.
Voh raat kabhi tanha se thee,
Par aab sathee hai ye ahsaas,
Koi aata nahi najar lekin,
Par haan rahta hai voh fir bhee pass.
Koi raat akele se tanha,
Baithee thee sagar ke paas,
Bas tabhee hui halchal koi,
Bas tabhee jaaga who ehsaas.
Alhad se haseein hooton par thee,
Meethi se mehek sanson mein thee,
Kuch hua us pal mein tha,
Usne chua us pal mein tha,
Pyara sa voh lamha,
bas thehar us pal mein gaya,
Kuch kehne ka voh pal na raha,
Bas khamosh se sason ki aahat
hi karti thee haal byan,
Sab bhool gayee aage pechee,
Uske siwa koi pal na raha.
Voh raat kabhi tanha se thee,
Par aab sathee hai ye ahsaas,
Koi aata nahi najar lekin,
Par haan rahta hai voh fir bhee pass.
Kuch Yaadein
Bas yun he kabhi kuch yaadein ubharti hain,
Dhundli magar bahut udass,
Fir jag uth ti hai ankho mein,
Wo bhooli bisri pyaas.
Hai kadvi magar phir bhi dil mein rehti hai,
Dil se jo na door jayen un apno ki yaad,
Haan kbhi dard uthta hai unse bichadne ka,
Par kabhi meethi lagti hain unki ye yaad,
Bas ab to inhe yaadon mein humein milte hain wo,
Mana ki maan rota hai inke aane se,
Fir bhi kaise karein hum in yaadon ko dur,
Ki bas ye ek kadi hai unke aur hamre beech,
Jo kabhi laut kar nahi ayenge.
Dhundli magar bahut udass,
Fir jag uth ti hai ankho mein,
Wo bhooli bisri pyaas.
Hai kadvi magar phir bhi dil mein rehti hai,
Dil se jo na door jayen un apno ki yaad,
Haan kbhi dard uthta hai unse bichadne ka,
Par kabhi meethi lagti hain unki ye yaad,
Bas ab to inhe yaadon mein humein milte hain wo,
Mana ki maan rota hai inke aane se,
Fir bhi kaise karein hum in yaadon ko dur,
Ki bas ye ek kadi hai unke aur hamre beech,
Jo kabhi laut kar nahi ayenge.
Katha Purani
Dil ke saare bandhan khol,
Mein katha sunati nari ki,
Man ke darpan se dekh are,
Mein vytha dikhati nari ki.
Maree jati aane se pehle
Janmi bhee to hai shrapit
Nit peete vish ke ghoont,
Kanto par hai chalti,
Tirskar agni mein hai jalti.
Sita se jalti jwala mein,
Meera ban peeti vish pyale mein,
Ban draupadi looti mehloon mein,
Bana Sati satayee jati hai,
Jinda jalwai jati hai.
Yug badle aur badle saal,
Par haye wahe hai iska haal
Kuch nutan nahi hua abhi,
Manav bhram wasa he raha abhi.
Badle kaal mein bas badli riti,
Vish pyala nahi vish baan hai piti,
Aaj bhee hai janani ka trskar,
Ab bhee sunai deti hai wahi chitkar.
Haye yeah nisthur samaj
Kab jaanga isko, kab maane ga isko,
Nari hai shristi ki janni,
Abhisahpit hai vo, toh hai abhishapit samaj,
Kya dur hogi ye vytha aaj.
Mein katha sunati nari ki,
Man ke darpan se dekh are,
Mein vytha dikhati nari ki.
Maree jati aane se pehle
Janmi bhee to hai shrapit
Nit peete vish ke ghoont,
Kanto par hai chalti,
Tirskar agni mein hai jalti.
Sita se jalti jwala mein,
Meera ban peeti vish pyale mein,
Ban draupadi looti mehloon mein,
Bana Sati satayee jati hai,
Jinda jalwai jati hai.
Yug badle aur badle saal,
Par haye wahe hai iska haal
Kuch nutan nahi hua abhi,
Manav bhram wasa he raha abhi.
Badle kaal mein bas badli riti,
Vish pyala nahi vish baan hai piti,
Aaj bhee hai janani ka trskar,
Ab bhee sunai deti hai wahi chitkar.
Haye yeah nisthur samaj
Kab jaanga isko, kab maane ga isko,
Nari hai shristi ki janni,
Abhisahpit hai vo, toh hai abhishapit samaj,
Kya dur hogi ye vytha aaj.
Tere jane ke baad
Na aankhon mein aasu hai,
Na hoton pe shikva hai,
Kuch nahi tha humare beech,
bas isi ka ye kissa hai.
Phir bhi jane kyun
sab kuch lagta adhura hai?
aadat ke shikanje mein,
jakde ruh talak hum hain,
kitna sehna hai abhi,
bas isi ka fasana hai.
Dekhe the jo sunhre manjar,
ab voh makaan viraan hain…..
ab mera he sina hai,
lahoo apna bahana hai,
teri akhoon mein jo tha,
shayd vo tha pyar,
meri akhoon mein jo tha,
shayad tha ikrar,
Par teri akhoon mein ab dikhta,
miujhe jhoota bahana hai...
behte ansu na tum smjhe,
Juban se kya hum smjhayein
Dil ke in jakhmon ko,
Ab dil mein he chupana hai.
Koi sikwa nahi ab to,
na hi gila tumse,
Kbhi mili thee khushiyan,
Ab gam mubark hain,
Par fir bhee kabhi kabhi,
ye ankh roti hai,
Kabhi badal barasta hai ,
kabhi fariyad hoti hai,
Chalo acha kiya jo bhee diy tumne,
Fir se jene ki koshis karenge hum,
Waqt ke saath asoon bahenge kam,
Na fir koi fariyad hogi,
Na tera gum hoga,
Fir muskuraygi zindagi mujh par,
Meri duniya mujhe mein aabad hogi…
Na hoton pe shikva hai,
Kuch nahi tha humare beech,
bas isi ka ye kissa hai.
Phir bhi jane kyun
sab kuch lagta adhura hai?
aadat ke shikanje mein,
jakde ruh talak hum hain,
kitna sehna hai abhi,
bas isi ka fasana hai.
Dekhe the jo sunhre manjar,
ab voh makaan viraan hain…..
ab mera he sina hai,
lahoo apna bahana hai,
teri akhoon mein jo tha,
shayd vo tha pyar,
meri akhoon mein jo tha,
shayad tha ikrar,
Par teri akhoon mein ab dikhta,
miujhe jhoota bahana hai...
behte ansu na tum smjhe,
Juban se kya hum smjhayein
Dil ke in jakhmon ko,
Ab dil mein he chupana hai.
Koi sikwa nahi ab to,
na hi gila tumse,
Kbhi mili thee khushiyan,
Ab gam mubark hain,
Par fir bhee kabhi kabhi,
ye ankh roti hai,
Kabhi badal barasta hai ,
kabhi fariyad hoti hai,
Chalo acha kiya jo bhee diy tumne,
Fir se jene ki koshis karenge hum,
Waqt ke saath asoon bahenge kam,
Na fir koi fariyad hogi,
Na tera gum hoga,
Fir muskuraygi zindagi mujh par,
Meri duniya mujhe mein aabad hogi…
Jindagi
Jindagi kaye raaz kholti he naahi
Bikhre hain kai khaab tolti he nahi
Fir bhee hum kyon chahte hain ise,
Fir bhe hum kyon mangte hain tumhein
Khamosh hai kyon botlti he nahi
Yeah jindagi.......
Bikhre hain kai khaab tolti he nahi
Fir bhee hum kyon chahte hain ise,
Fir bhe hum kyon mangte hain tumhein
Khamosh hai kyon botlti he nahi
Yeah jindagi.......
Subscribe to:
Posts (Atom)