Thursday, June 27, 2013

Man Mera

kuch udaas kuch toota sa
man mera chup chap pada hai
beech akela bheed ke ye
man mera sunsan pada hai

kissa hissa bana na tera
bana to ho ke reh na saka
saath judaa aur baat bani
par saath ye ho ke reh na saka

shaamil tha yeah tere kal mein
aaj mein tere gumnam hai yeah
haasil tha sab bite pal mein
is pal kyoun virran hai yeah

ruksat bhe na fursat bhee na
mil payee
kismat chahat bhee na
mil payee
tere man ka man se rishta
juda nahi
judi humari raah par
manzil par na jud payee