kuch khali khali tha,
maan ka kona,
baatein band thee
ek sandook mein,
fir jane kaise chala ye jadoo
khul gaya sandook,
gayee saree batein bikhar,
Jo mein keh na payee thee
khud se
jo tum keh na paye the khud se
Vo sari batein jane kaise?
jane kaise keh gaye hum sab?
Bharosa tha voh tum par,
ya thee akhon mein koi sachayee,
ya dil ka nasoor itna bada ho gaya,
ki sambhale na sambhla,
aur bas beh chale hum sab...
dard shayad kuch kam bhee hua,
dil thoda nam bhee hua,
par haan ab mehsus hota hai kuch khulapan,
nahi uthti hai vo tise man mein,
Ud chali hain voh baatien khuli kidki se,
Aur mein ab ajad hoon unse...
Bharosa tha voh tum par,
ya thee akhon mein koi sachayee....
No comments:
Post a Comment