Wednesday, September 16, 2009

Raat ki Kahani

Kuch baat kabhi hoti hai yuon,
Koi raat akele se tanha,
Baithee thee sagar ke paas,
Bas tabhee hui halchal koi,
Bas tabhee jaaga who ehsaas.

Alhad se haseein hooton par thee,
Meethi se mehek sanson mein thee,
Kuch hua us pal mein tha,
Usne chua us pal mein tha,

Pyara sa voh lamha,
bas thehar us pal mein gaya,
Kuch kehne ka voh pal na raha,
Bas khamosh se sason ki aahat
hi karti thee haal byan,
Sab bhool gayee aage pechee,
Uske siwa koi pal na raha.

Voh raat kabhi tanha se thee,
Par aab sathee hai ye ahsaas,
Koi aata nahi najar lekin,
Par haan rahta hai voh fir bhee pass.

No comments:

Post a Comment