Thursday, June 27, 2013

Man Mera

kuch udaas kuch toota sa
man mera chup chap pada hai
beech akela bheed ke ye
man mera sunsan pada hai

kissa hissa bana na tera
bana to ho ke reh na saka
saath judaa aur baat bani
par saath ye ho ke reh na saka

shaamil tha yeah tere kal mein
aaj mein tere gumnam hai yeah
haasil tha sab bite pal mein
is pal kyoun virran hai yeah

ruksat bhe na fursat bhee na
mil payee
kismat chahat bhee na
mil payee
tere man ka man se rishta
juda nahi
judi humari raah par
manzil par na jud payee

Tuesday, May 14, 2013

Uljhano ka na khatm hota ye daur.......

adhi adhoori zindagi, kahani ke hisse jaise
band khulte panno mein, likhe kisse jaise

Ghumti ho mein kiss talash mein,
jo choot gaya usse pane ki,
ya ki jo mila usse apnane ki
uljhan mein lipta hai har naya din
talshta apne suljhne ki wajah
fir doob jata gumsum raat ke andhere mein
uljhan barkarar hai..

Hai ujaala ass paas, fir bhe najar ko apna nahi dikta
kuch dhoondhle chere hain, jo jagti akhon ne buna vo sapna nahi dikhta
Fir kashmakash ki dhund gher leti hai mere asmaan ko
Jo tha meri talaash mein madadgaar, voh dundhla tara bhee nahi dikta

adhi adhoori jindagi, benam kisi makaan jaisi,
sahil jismein kabhi na hoga hasil, uss makam jaisi.

Uljhano ka na khatm hota ye daur.......