Baaton ke sahar mein gujri hai ek shaam,
Sunti hai kabhi, kabhi leti mera naam,
Kuch aise hain alfaaz ki, hum kho gaye,
Nikle the kis raah pe aur kahin ke ho gaye.
Mere jehen mein ubhri hui ek yaad jase ho,
baton mein ek bhoola sa andaz jase ho,
koi baat chalte chalte kamosh ho gayee,
Voh ja ke us kissey ke pahloo mein kho gaye.
Fir se vho ek umre humne gujar di,
Un kisson ne is safar ki tasweer ubhar di,
Har ek pal ko jaise jinda kar diya,
Jo mit chuki thi us hasrat ko hara kar diya,
Adat nhi hai yuon sunte rahein tuzhe,
Par teri har baat ne kuch nasha sa kar diya,
Le bhul kar sab kuch teri dagr pe chal pade,
Teri baton tere kisson, ka hissa ho chale
Mere jehan mein ubri hui ek yaad jaise ho,
ReplyDeletebaton me ek anajana sa ehsas jaise ho
Koi baat chalt chalte kahin kho si gayi
Humari har baat ko peechhe chhodte hue jaise so si gayi,
Har ek pal ko jaise jinda sa kar diya,
Jo mit chuki thi woh baat use hara kar diya,
Ek muddat ke baad hua hai in baaton ka jikra
Lekin ab nahi hai hume koi fikra,
Aadat si thi ki bas sunte rahen tumhe,
Lekin is nashe ko bhi humne purana he kar diya,
Hum bhool kar sab kuchh teri dagar se alag chal pade,
Teri baton tere kisson, ka hissa ho chale