Friday, November 26, 2010

kaari kaari ratiyaan....

kaari kaari ratiyaan,bheegi mori akhiyaan
kase kahoon bolo,naino ki ye batiyaan
kaari kaari ratiyaan,bheegi mori akhiyaan
kase kahoon bolo,naino ki ye batiyaan

Mora aagan suna suna
sune more maan ki kothariya
bethi mein akeli, koi na saheli
ruthi hai mo se, mori saari sakhiyaan
Kaari kaari.....

Birhaa ki maari,sab kuch mein haari
rutha mo se har din, tadpoon mein pal cheen
ab to raha na, naino mein koi sapna
kaari kaari....

na jaanu mein, naam pata bhee
kis des ja ke, base hain piya ji
dhoondoon bhe to kaise
koi naa bataye, unki dagariya
kaari kaari....

kaise jiye koi,tum he bataao
jhuta hi dilasa, halki si asha
tum na aao to, bhejo koi sandesha
aake more aagan, deep he jalao
kaari kaari....

Wednesday, November 10, 2010

Ek ashk

Ek ashk nahi gira, par dil ka har katra lahoo luhaan hai
tere na aane se ek dil kya mera pura chaman viran hai...

Monday, October 18, 2010

Tu saath to chal...

Kuch der sahi kuch door sahi,
tu saanth to chal...
Mana agle mode pe tu mud jayega,
par ab ki meethi yaadon ke liye
tu saanth to chal...
Mein ek katra hoon jo beh jaoongi
par theharne de palkoon pe,
na iss armaan ko chhal...
Ek umar nahi bas yaad shai
tu saath to chal....

Friday, September 17, 2010

bas baithe baithe dekhte hain hum

Ahista se gujartee hai shaamein kuch
behati hai yeah hawa bhee ruk ke
bas baithe baithe dekhte hain hum
dhani kinnari pedoon ki
aur badloon ka narangi rang
dubte suraj ko ghere hue kuch uljhe se

Dheere dheere gujra tha din
par shaam kuch tez simatee hai
bas baithe baithe dekhte hain hum
palak ke jhapkne mein rang badalta asma
aur ab to doob gaya suraj bhee

Chaa raha hai raat ka sanwla rang
sheetal si manthar purva bhee behti hai sang
bas baithe baithe dekhte hain hum
Ek din ko simate hue, ghulti shyahi asman mein
Aur dekhte dekhte dhal gyai ye shaam bhee

Tuesday, September 14, 2010

Raat

jhoolti hain kuch boondein, patton ke kinaron se, gili chandni mein nahai dhooli raat mein...hawa ke ek isshare pe choode deti hain daaman shakhoon ka aur chamm se girti hain jamee pe...fir kahaan bikhar jati hain kuch pata nahi..boodien jinka shauk girna hai, gir ke bikharna hai, bikhar ke mitna hai aur ho jana hai gumnaam...iss sannate mein aisi khamosh ruksati pe koi aur nahi rota, bas kabhi ro padta hai assaman, phir se lutane kuch aur boodein...
Bikharna kismat hai, girna adat hai aur mit jana shidaat hai...

Aur bhee aisi kayi kahaniyan anjam leti hain raat mein..kamoshi se apne mukadar ko paati hai bina kisi aahat ke. Inhi chote chote anjamon aur haadson se banti hai yeah raat...gunahon ko anjam deti aur kabhi atkheliyan kar hans deti hai yeah raat...Agaj bhi na bas mein hai na hi anjam, bas karti hai pura usse jo ki dastoor hai...Nibhana hai har kirdaar, jhurmoot mein chupna hai, hawa ke saath jhoolna hai, boodoon ki maut ka tamasha dekhna hai, soti patiyoon ki sirhan mehsus karni hai, bikharte bhoodhe neem ke karah sunni hai, ghonsle ke tinko ko judte hue aur jude ke bikharte hue dekhna hai...Banna hai khamosh kirdar har kahani aur kisse ka...
na sunne wala koi hai na sunane wala koi hai, aur khud hi yaad rakhna hai har baat ko...

Chandni bhee har roz nahi aati, kabhi baadlon mein chup jati hai to kabhi rooth jati hai...bas bhej deti hai taaroon ke jhurmoot ko, jo bas door se hi dekh kar muskurate hai, baante nahi thodi bhee syahi...Aur us roz to bas issharron ko mehsus karti hai yeah kaali lambi raat..kabhi boondoon ki cham, kabhi patoon ki sarsarahat hawa se milte hue, ye bhoode neem ki karah jo ki dab jaati hai tez hawa ke jhonkoon se....
Bas awazoon ke lambe galiyaaron se gujarti aur kisi sunsan kone mein theharti.........

Aur kabhi to sab kuch khamosh ho jata hai..baadal bhee bhool jate hain rasta, hawa bhee kahin door chup jati hai..patte fir shant sithil ho jate hai..na boodein hi girti hai...neem ka ped bhee ab toot chuka hai...aur door ud chale hai us gharoonde ke nanhe panchi...sab bhool kar isse band hain apni apni khidkiyoon ke peeche...intazaar mein kisi ki aahat ke, koi halki se he sahi par kisi dastak ke...aur tab to soonepan ko mehsus kar sihar uthti hai yeah kaali khamosh akeli se raat...
mere andheroon aur akelepan ki tarah.........

Tuesday, September 7, 2010

teri aur meri aakhon ke suhke aasoon

tum anjaan the mujhse
chalte the hum ajnabi rahoon mein
ehsaas tha na gila tha
kuch bhee to nahi mila tha
fir mile kyoun, achanak yuon
chal pada ye silsila kyuon.

ek dagar ke bane hum humsafar
rahi na kuch aur fir hume khabar
voh tera haath voh tera saath
aur ghantoon karna tumse baat
nigah thee jo hati na thee
raatein ab tanha kati nahi thee

fir haath kuch chuutne laga
saath bhee roothne laga
baatein khatm ho gayi aur
reh gayi bas khamosh aahein
aur nigah churane lage kyou hum tum...

hai yeah jani magar ajnabi dagar
saath hain hum par rahe nahi humsafar
tu anjana sa aur mein ajnabi hui,
chut gaya sab kuch kaheen,
Par fir kar rahe hain saath safar

Aadat hai ki bhoole se fir haat thaam leti hoon
hasrat hai ki tu fir nazar bhar dekh leta hai
bolne ko machal padte hain hum dono
safar ki yaadein hain jo laut aati hain baar baar

Lautna namumkin sa hai
bhula dena bas mein nahi
chalna hai saath saath,
jab ki bant chuke hain hum
aur yaad rakh kar bas rote hain
teri aur meri aakhon ke suhke aasoon...

Monday, September 6, 2010

Nanhi Jal Dhara

ujlee safed bharf ki chadar
nikal padi ye nanhi jal dhara kidhar
jyoun kopal se banta paundha
bani vishal yeah nanhi kaya

Machalti uchalti lehrein kal kal
behta fen mein dooba ujla jal
takrati sankre kinaroon se
kabhi pedoon,kabhi pathar ki dararon se

veag aur bhi badhta jata
chote chote jal prapat banata
garajti chekhekti ufanti jal dhara
dekho dhoondne chali sagar kinnara

ghumti vicharti pahadon se
aa utri hai ab khule maidanon mein
veag hua kuch dheema sa hai
chuuti door kinaaron ko ab

Chanchal nadi ab behti manthar
shant sundar lahrein
neelam mani sa sundar jal
dhuli chandni khula kinara
roop raat ka kitna sawanra

aur badi jab aage yeah raani
ab kuch mathmaila sa hua pani
lut chuka hai sondary iske
man fir bhee paawan hai uska

Door khada sagar lehrata
pass ise apne hai bulata
bant chuki hai dharaon mein
kayi rakt koshikaon mein
par jati har dhara hriday ke pass
yahi hai iska anupam amit ehssas....

Monday, August 30, 2010

Chale Aana...

Maana ki kar gaye ho kinaara,
Aur mit chukka hai voh ehssas,
Fir bhee kabhi dil bhar aye to chale aana,
Ya ki yaad voh pal aayein to chale aana...

Tasweer to jehen me shayad hi bachi ho meri,
Par ubhar aye koi dhundhli lakirren to chale aana
Mana ki mit gaya jo kuch tha darmiyaan
Fir bhe ho gar kuch mehsus to chale aana...

Mit jayenge hum tere na aane se,
Yeah guman nahi hai tere dil mein.
Fir bhee ehsaas ho meri rooh hai aass pass,
To dekhne mera janaja chale aana...

Mana ki ab mere shehar se anjan ho tum,
Aur meri galiyoon ka rasta bhee bhool gaye,
Fir bhee gar bhoole se aao mere shehar
aur jo lage kuch jani pehchani si dagar
To darwaje ko band karne chale aana...

Wednesday, July 14, 2010

"Kaisi hogi subah"

"Kaisi hogi subah"
Pucha andhere mein jalte diye ne

To boli behti hawa

"Aisi hogi subah
Patton ke jurmut mein kuch halchal hogi,
Behte pani mein kal kal hogi
Mein bahoongi jhoom ke
Ugte suraj ko chum ke
Ooss ki boondein nikhrengi
Chamchamati kirne bikhrengi

Hari ghas ka hoga bichhona
Aur suraj hoga nanhi hatheliyon ka khilona
Masalti anhon ke khulte hi
Hasega muskurayega sawera salona
Haan! Haan aisi hogi subah"

Diya bola,
"Kash mein dekh pata subah ko
par mujhe to bujhna hai
jab din ko niklna hai
Meri chadar mein hai sirf andhera
Aur in kaali raton ko mujhe roshan karna hai
Kabhi kya meri bhe hogi yeah subah"