Thursday, November 5, 2015

Safar uss gali ka

Haan bahut assan thee voh rah meri
kuch baat hogi jo mein iss aur mud gaya

un dino azad the khayal, azad thee zindagi
na fikar narazgi ki, na dar chutne ka
kyun fir in ulzhanoon ko, bekhayal sa
betaab mein bunta gaya, judta gaya

shaam ki baiymaniya, raat ki khamoshiyan,
chuti gayi raste ke kinare par
aur fir uss daur ko chod, ek benaam,
akli se, bikari gali chun li meine
jodne ko kuch na tha, do haath aur umeed,
bas inhi ko liye mein, ek ek kar
har eent, har darar pata, is baat ko jodta gaya

haan bahut assan thee voh rah meri,
par safar mujhe bas yaad hai
iss benaam gali ka...