Wednesday, September 16, 2009

Katha Purani

Dil ke saare bandhan khol,
Mein katha sunati nari ki,
Man ke darpan se dekh are,
Mein vytha dikhati nari ki.

Maree jati aane se pehle
Janmi bhee to hai shrapit
Nit peete vish ke ghoont,
Kanto par hai chalti,
Tirskar agni mein hai jalti.

Sita se jalti jwala mein,
Meera ban peeti vish pyale mein,
Ban draupadi looti mehloon mein,
Bana Sati satayee jati hai,
Jinda jalwai jati hai.

Yug badle aur badle saal,
Par haye wahe hai iska haal
Kuch nutan nahi hua abhi,
Manav bhram wasa he raha abhi.

Badle kaal mein bas badli riti,
Vish pyala nahi vish baan hai piti,
Aaj bhee hai janani ka trskar,
Ab bhee sunai deti hai wahi chitkar.

Haye yeah nisthur samaj
Kab jaanga isko, kab maane ga isko,
Nari hai shristi ki janni,
Abhisahpit hai vo, toh hai abhishapit samaj,
Kya dur hogi ye vytha aaj.

No comments:

Post a Comment