Wednesday, September 16, 2009

Tere jane ke baad

Na aankhon mein aasu hai,
Na hoton pe shikva hai,
Kuch nahi tha humare beech,
bas isi ka ye kissa hai.

Phir bhi jane kyun
sab kuch lagta adhura hai?
aadat ke shikanje mein,
jakde ruh talak hum hain,
kitna sehna hai abhi,
bas isi ka fasana hai.

Dekhe the jo sunhre manjar,
ab voh makaan viraan hain…..
ab mera he sina hai,
lahoo apna bahana hai,

teri akhoon mein jo tha,
shayd vo tha pyar,
meri akhoon mein jo tha,
shayad tha ikrar,
Par teri akhoon mein ab dikhta,
miujhe jhoota bahana hai...

behte ansu na tum smjhe,
Juban se kya hum smjhayein
Dil ke in jakhmon ko,
Ab dil mein he chupana hai.

Koi sikwa nahi ab to,
na hi gila tumse,
Kbhi mili thee khushiyan,
Ab gam mubark hain,

Par fir bhee kabhi kabhi,
ye ankh roti hai,
Kabhi badal barasta hai ,
kabhi fariyad hoti hai,

Chalo acha kiya jo bhee diy tumne,
Fir se jene ki koshis karenge hum,
Waqt ke saath asoon bahenge kam,
Na fir koi fariyad hogi,
Na tera gum hoga,
Fir muskuraygi zindagi mujh par,
Meri duniya mujhe mein aabad hogi…

No comments:

Post a Comment