Wednesday, August 19, 2015

कुछ तेरा है कुछ मेरा है

कुछ तेरा है कुछ मेरा है, 
कुछ हम दोनों का हिस्सा है 
न तुमने कहा, न बयान मैंने किया 
फिर भी तेरे मेरे दिल का  ये किस्सा है 

क्योँ फिर मैं, ना करूँ  इजहार 
क्योँ फिर मैं, न करूँ जाहिर 
ये जो हम दोनो  की दिल की बातें हैं 
क्यो ना करूँ , क्योँ ना ?

महसूस क्या तुम्हे भी होता है ,
मेरी तरह,
कुछ मीठा सा, कुछ तीखा सा 
हलचल मचाता ये दो दिलों  का शोर 

या की मैं  बून रही हूँ अधूरा सा ख्वाब ,
या की मेरे दिल की धड़कन है अकेली 
और नहीं तेरी हालत मुझ सी 
या की बातें मेरे दिल की तेरी भी बातें हैं,
तू अब कह भी दे ना।  कह दे ना 


हाँ दर्द दे तू मुझे, या दर्द ले  तू मेरा,
पर नहीं अब जुदा तुझसे होना चाहूँ मैं 
मान भी ले, हाँ मान ले 
दिल की येह छोटी सी बात 
हाँ, एक छोटी सी बात 

Thursday, June 27, 2013

Man Mera

kuch udaas kuch toota sa
man mera chup chap pada hai
beech akela bheed ke ye
man mera sunsan pada hai

kissa hissa bana na tera
bana to ho ke reh na saka
saath judaa aur baat bani
par saath ye ho ke reh na saka

shaamil tha yeah tere kal mein
aaj mein tere gumnam hai yeah
haasil tha sab bite pal mein
is pal kyoun virran hai yeah

ruksat bhe na fursat bhee na
mil payee
kismat chahat bhee na
mil payee
tere man ka man se rishta
juda nahi
judi humari raah par
manzil par na jud payee

Tuesday, May 14, 2013

Uljhano ka na khatm hota ye daur.......

adhi adhoori zindagi, kahani ke hisse jaise
band khulte panno mein, likhe kisse jaise

Ghumti ho mein kiss talash mein,
jo choot gaya usse pane ki,
ya ki jo mila usse apnane ki
uljhan mein lipta hai har naya din
talshta apne suljhne ki wajah
fir doob jata gumsum raat ke andhere mein
uljhan barkarar hai..

Hai ujaala ass paas, fir bhe najar ko apna nahi dikta
kuch dhoondhle chere hain, jo jagti akhon ne buna vo sapna nahi dikhta
Fir kashmakash ki dhund gher leti hai mere asmaan ko
Jo tha meri talaash mein madadgaar, voh dundhla tara bhee nahi dikta

adhi adhoori jindagi, benam kisi makaan jaisi,
sahil jismein kabhi na hoga hasil, uss makam jaisi.

Uljhano ka na khatm hota ye daur.......

Friday, September 14, 2012

aazad khayalon ki duniya


aazad khayalon ki duniya
masoom sawalon ki duniya
voh chechahate panchee,
aur titliyon ke peeche daudte,
nanhe kadmoon ki duniya

kahaniyan pariyon ki, aur kisse asmaani
ghar ghar ka khel, gude gudiya ka mel
bahut choti fir bhee bahut badi se duniya

Chot lagti aur mit jaati
Gam nahi koi,
dard ho to ansoon aajayein
magar dil mein tees nahi koi,
Tujhse naraz ho to lad jayein
par saalon kamosiyoon ka silsila nahi koi

Pyaare armaaon, mithe pakwaano
khilono ki dukano ki rangeen duniya
Diwali ke methayee, eid ki edee
fulzariyon aur chamkte taaron ki duniya

badi khaas, hai yaadon mein iska ehsaas
bahut peeche choot gayi
par maan ke kone mein ajj bhee
machalti, hilore leti hai ye duniya

Friday, August 26, 2011

Sochti hoon aaj, tanha mein..........

Sochti hoon aaj, tanha main
kyun na phir se rukh karun beete dino ka

Woh pehli dafaa tumse baat, phir baaton ka silsila
Kaano mein tumhare shabd, phir kai baaton ka ghulna
Pehli mulaqaat, intezaar mein tum - intezaar mein main
milna, cHoona haathon ka, milna nazroon ka, aur umadna jazbaaton ka

kyun na phir rukh karun un barsaaton ka, phirna geeli sadko par
sheeshe pe jame kuhase par naam likhna, tumhara mera
Phir yunhi tumhein dekh ke muskurana, aur qareeb aana

kyun na phir rukh karun un tanhayion ka, ki usme bhi hum saath the
ehsaas jude, jazbaat jude, yaadein judie, darmiyan bas pyaar
Aur doob jaana un palon mein bhool ke har fikr, woh meethi yaadein

kyun na phir se rukh karun beete dino ka
Sochti hoon aaj, tanha main