Friday, September 17, 2010

bas baithe baithe dekhte hain hum

Ahista se gujartee hai shaamein kuch
behati hai yeah hawa bhee ruk ke
bas baithe baithe dekhte hain hum
dhani kinnari pedoon ki
aur badloon ka narangi rang
dubte suraj ko ghere hue kuch uljhe se

Dheere dheere gujra tha din
par shaam kuch tez simatee hai
bas baithe baithe dekhte hain hum
palak ke jhapkne mein rang badalta asma
aur ab to doob gaya suraj bhee

Chaa raha hai raat ka sanwla rang
sheetal si manthar purva bhee behti hai sang
bas baithe baithe dekhte hain hum
Ek din ko simate hue, ghulti shyahi asman mein
Aur dekhte dekhte dhal gyai ye shaam bhee

1 comment:

  1. Ye to niyam hai kudrat ka, isi liye in har lamhon ko jeene ki koshish karten hain hum, ye pyari subah, ye tandi hawaen aur ye khubsurat shaamen.....

    ReplyDelete