Thursday, November 5, 2015

Safar uss gali ka

Haan bahut assan thee voh rah meri
kuch baat hogi jo mein iss aur mud gaya

un dino azad the khayal, azad thee zindagi
na fikar narazgi ki, na dar chutne ka
kyun fir in ulzhanoon ko, bekhayal sa
betaab mein bunta gaya, judta gaya

shaam ki baiymaniya, raat ki khamoshiyan,
chuti gayi raste ke kinare par
aur fir uss daur ko chod, ek benaam,
akli se, bikari gali chun li meine
jodne ko kuch na tha, do haath aur umeed,
bas inhi ko liye mein, ek ek kar
har eent, har darar pata, is baat ko jodta gaya

haan bahut assan thee voh rah meri,
par safar mujhe bas yaad hai
iss benaam gali ka...

Friday, September 25, 2015

Arzoo

Ek Safar pe hoon mein haan kai saal se,  aur mere saath hai aap ki Arzoo

Voh jo Baatein mein tumse Keh na saka, uski he yaad hai aap ki Arzoo

Haan har ek baat mein, mein talaashoon tumhein, aaj bhee khaas hai aap ki Arzoo

Khoobsoorat voh pal mein sochta hoon  kabhi, aur sattati mujhe aap ki Arzoo

Wednesday, August 19, 2015

कुछ तेरा है कुछ मेरा है

कुछ तेरा है कुछ मेरा है, 
कुछ हम दोनों का हिस्सा है 
न तुमने कहा, न बयान मैंने किया 
फिर भी तेरे मेरे दिल का  ये किस्सा है 

क्योँ फिर मैं, ना करूँ  इजहार 
क्योँ फिर मैं, न करूँ जाहिर 
ये जो हम दोनो  की दिल की बातें हैं 
क्यो ना करूँ , क्योँ ना ?

महसूस क्या तुम्हे भी होता है ,
मेरी तरह,
कुछ मीठा सा, कुछ तीखा सा 
हलचल मचाता ये दो दिलों  का शोर 

या की मैं  बून रही हूँ अधूरा सा ख्वाब ,
या की मेरे दिल की धड़कन है अकेली 
और नहीं तेरी हालत मुझ सी 
या की बातें मेरे दिल की तेरी भी बातें हैं,
तू अब कह भी दे ना।  कह दे ना 


हाँ दर्द दे तू मुझे, या दर्द ले  तू मेरा,
पर नहीं अब जुदा तुझसे होना चाहूँ मैं 
मान भी ले, हाँ मान ले 
दिल की येह छोटी सी बात 
हाँ, एक छोटी सी बात 

Thursday, June 27, 2013

Man Mera

kuch udaas kuch toota sa
man mera chup chap pada hai
beech akela bheed ke ye
man mera sunsan pada hai

kissa hissa bana na tera
bana to ho ke reh na saka
saath judaa aur baat bani
par saath ye ho ke reh na saka

shaamil tha yeah tere kal mein
aaj mein tere gumnam hai yeah
haasil tha sab bite pal mein
is pal kyoun virran hai yeah

ruksat bhe na fursat bhee na
mil payee
kismat chahat bhee na
mil payee
tere man ka man se rishta
juda nahi
judi humari raah par
manzil par na jud payee

Tuesday, May 14, 2013

Uljhano ka na khatm hota ye daur.......

adhi adhoori zindagi, kahani ke hisse jaise
band khulte panno mein, likhe kisse jaise

Ghumti ho mein kiss talash mein,
jo choot gaya usse pane ki,
ya ki jo mila usse apnane ki
uljhan mein lipta hai har naya din
talshta apne suljhne ki wajah
fir doob jata gumsum raat ke andhere mein
uljhan barkarar hai..

Hai ujaala ass paas, fir bhe najar ko apna nahi dikta
kuch dhoondhle chere hain, jo jagti akhon ne buna vo sapna nahi dikhta
Fir kashmakash ki dhund gher leti hai mere asmaan ko
Jo tha meri talaash mein madadgaar, voh dundhla tara bhee nahi dikta

adhi adhoori jindagi, benam kisi makaan jaisi,
sahil jismein kabhi na hoga hasil, uss makam jaisi.

Uljhano ka na khatm hota ye daur.......